Sainik Welfare Organization Swo India, Goel Tower Lucknow — worst flats, money loot

Address:Lucknow, Uttar Pradesh

From : R S Pandey
F/o Maj S Pandey
C-503 Goel Tower, Anaura, Faizabad Road,
Lucknow – 226028
To : Sainik Welfare Organisation
Subject : REFUND OF MONEY/PROVIDING OF FACILITY AS PER CORRECT FLATS NORMS/RULES
Respected Sir,
1. Main RS Pandey F/o Major S Pandey Goel Tower C Block main aapke dwara ek Flat apne ladke Major S Pandey ke naam se kharida. Main yeh socha tha ki Army ke dwara mujhe yeh flat mil raha hai to bahut hi achha hoga lekin hum logon ke sath bahut bada dhokha kiya gaya hai. Itna hi nahi hum logon se yeh kahkar registry karayi gayi ki registry ke bad aap logoa ke flat ke bakaye karya kara diye jayege lekin aaj tak poor eek saal bitane ke bad bhi kuchh nahi ho raha hai. Aapke office se Mr Raj Singh ke dwara bar bar puchhne par yeh kaha jata hai ki ab aap log registry kara chuke hain, ab aap log khud hi jaane ya Mr Surender kuchh karayen.

2. Yanha par aap ke dwara tainaat kiye gaye Mr Surender jo karya kar rahen hain wo jankar aapko hairani hogi. Hum logo ko to yeh sanka ho rahi hai ki surender ke sath Raj Singh saheb bhi mile hua hain. Mr Surender ka karya nimn prakar hai :-

{a} Mr Surender Yahan par din bhar ghumkar flaton ke liye kirayedar le aate hain aur har ek flat se Rs 8000/ (for three bed), Rs 5500/- (for two bed room} aur Rs 3500/- {for one bed room) ka yani ek mahine ka kiraya har malik se lete hain. Is prakar paise hone ke karan apne gaon main do (two) makan bana rahen hai, kyoki Mr Surender Janaurary se aj tak har mahine karib 15 day apne gaon mein rahate hai aur apne makan ka karya karata hai

(b) Mr Surender ne jo electric meter lagan ke liye flats ke owner se form bharayen hain usme Goel Tower Lucknow ki Jagah, Goel tower Barabanki bharen hain kyonki Goelji electric connection Barabanki se liye hain esliye sabka bill Goel Tower Barabanki ke naam se aa raha hai jo ki aage chalkar flats owners ko bahut badi problem mein dalega.

3. Kahin bhi hum log address proof ke taur par use nahin kar sakte hai.

4. Yaha par jo flats mein jo problem hain uski koi sunyai nahin hai kuonki Surender koi bhi baat no to aapko pahunchata hai na hi yaha par koi karya karata hai. Yahan ki problem nimn prakar hai :-

(a) Pani ki tanki main bahut jyada katchra ho gaya hai jisase keede (jerms) ho gayen hain aur ohi pani peena pad raha hai jo ki unhygienic hai.

(b) Flats main STP nahi hone ke karan latrine ka pani bahar over flow hota rahata hai aur peene ke pani mein mix ho jata hai.

(c) Yahan par kuda dalane ke kilye koi garbage bins nahi banai gayi hai jisase poora katchra dono blocks ke beech main dala jata hai jisase bagut durgandh aati hai aur unhygienic hone ke karan log bimar ho jaaten hain.

(d) Jo channel waIi lift lagayi gai hai oh itani ghatia kism ki hai ki har tisare din kharab ho jati hai aur 4 to 6 days tak kharab padi rahati hai. Main fifth floor par rahata hun aur mere heart ka operation hua hai, aap hi anuman sakte hain ki mera kya haal hota hoga jab main stairs se upar fifth floor tak aata hun.

(e) Flats ke beech mein koi jagah nahi hai jisme koi incidence ho jane par fire brigade ki gaadi bhitar aa sake. Yadi koi gadi neeche park ki jati hai aur uske peechhe koi aur gaadi park ho jati hai to aage wali gaadi nahin nikal sakte hain. Is prakar yahan par itani problem hai ki raha nahi jaa sakata hai.

5. Meri aapse anurodh hai ki aap personaly uprokt botoan par dhyan den aur door karane ki koshish Karen. Yadi aisa nahin hota hai to main din (15 days } ke bad Army Tribunal court, consumer forum, media and High court main jaunga aur main apne paise ki refund ki mang karunga kyonki main HDFC bank se Rs 15, 00, 000/ loan liya hai aur uspar 11.40% per year interest deta hun. Iske atirikta main flat ka full payment nirdharit period se pahle diya. Isliye as per sale agreement flat ki registry ki date se till date 1.5% ke hisab se refund kiya jaya kyonki aaj tak mujhe koi letter flat hand over ka nahin mila hai.

6. Meri aapse request hai ki aap kisi officer sahban ko bheje joy aha ki samsyaon ko denkhen

[on ground) aur uspar karywahi ho sake. Mr Surender ke baaren mein jo baatein likhi yadi sahi hai to Surender ko immediate yahan se hatane ki kripa Karen. Yadi koi pofficer sahban aaten hai to surrender ko hum loge ke samne kada karke baat ki jaye.

7. Main itna paresan ho chukka hun ki ab aur sahan nahi kar sakata. Aap mera paisa turant (with interest which has paid to HDFC bank against our loan) return karane ki kripa Karen. Shrimanji main aab agli karyawahi ke liye biwas hun.


8. Yahan ki kuchh photo aapko bhej raha hun. (Please find in attachment)


Sincerely,

R S Pandey
+1 photos
Was this information helpful?
No (0)
Yes (0)
Complaint comments 

Post your Comment

    I want to submit Complaint Positive Review Neutral Comment
    code
    By clicking Submit you agree to our Terms of Use
    Submit
    Sainik Welfare Organization India [SWO]
    customer care contact
    Customer satisfaction rating Customer satisfaction rating is a complex algorithm that helps our users determine how good a company is at responding and resolving complaints by granting from 1 to 5 stars for each complaint and then ultimately combining them all for an overall score.
    Read more
    9%
    Complaints
    67
    Pending
    0
    Resolved
    6
    Sainik Welfare Organization India [SWO] Phone
    +91 11 2803 5746
    Sainik Welfare Organization India [SWO] Address
    Plot No. 18, First Floor, Sector 12A, Dwarka, New Delhi, Delhi, India - 110078
    View all Sainik Welfare Organization India [SWO] contact information