Dgs Sol — threatening/demanding money

Sir,
Mujhe 14 feb, 2019 me ek msg aaya quikr ki trf se online data entry job ke liye. Maine jab call kiya ([protected]) to akshay arora naam k shaks ne phone uthaya, jinhone mujhe bataya ki dgs sol ek online data entry job hai jisme aapko 7 din k andar 800 form fill karne hain jisme aap per week 20000/- rs tak earn kar sakte ho. Aur mujhe starting me koi registration amount bhi ni dena hoga. Uske baad jab main agree ho gya to mujhe bina infom kiye in logo'n ne ek stamp paper par agreement send kar diya, jiske baare me mujhe pahle bataya ni gaya tha.
Uske baad maine kaam start kiya aur inke diye gaye time (Within 1 week) k andar maine 800 form fill kar diye with accuracy aur maine inhe inform kiya to inlogo'n ne bola 10 min baad hum call karenge, uske baad inhone 10 min baad call kiya aur mujhe ek id password diya jisse ki mera kaam ka result show ho sake, jab maine use open kiya to uspar likha tha "your qc is failed". Maine inko call karke bataya to inhone kaha aapne form bharne me galti ki hai. Aur ab aapko company ka registration amount pay karna hoga joki agreement me hai.
Maine inlogo'n ko laakh samjhane ki koshish ki k maine accuracy ka poora dhyan rakha hai, mujhse mistake ni hui hai. Par inhone ni maana.
Afterthat maine inko google pay se 3900 pay kiya. Par uske baad bhi ye log mujhse paise maang re the penalty ka. Jabki maine waqt rahte registration amount pay kar diya, fir ye log mujhe legally threaten karne lage aur mujhse 12000 ki aur demand kiya. Uske baad maine inka call aur whatsup msgs ignore karna start kar diya, to ye log v koi msgs ni kar the.
Uske baad mujhe 24 june, 2019 ko ek lady ka phone aaya [protected] se jisme unho kaha ki aapne penalty amount pay ni kiya hai isliye aap pay kare ni to hum legal action lenge jispar maine jawab diya ki maine apki company ka reg amount pay kar diya pr wo boli ki aapki penalty baaki hai, jisme unhone kuch acts k naam liye jaise act 73 and 74 jispr penalty ki rakam 25000, 25000, 25000 thi. Maine dene se mana kar diya to inhone bola ki aapk'e ghar legal notice pahunch jaayega aur aap par case hoga.
Sir, please koi solution kijiye, main depression me chala jaao'nga aise to.
+5 photos
Was this information helpful?
No (0)
Yes (0)
Complaint comments 

Comments

Dhayan na do kuch nhi hoga dobara call aye tu mujhe uska no msg karna m dekhta h usse ... Pta nhi ham indians kab ase logo ko samjana sikhenge
Koi ni i can do social service part time m dekh longa

Post your Comment

    I want to submit Complaint Positive Review Neutral Comment
    code
    By clicking Submit you agree to our Terms of Use
    Submit

    Contact Information

    India
    File a Complaint