Ghaziabad Development Authority [GDA] — unauthorized play school in raj nagar extension

Address:Ghaziabad, Uttar Pradesh, 201017

Sir/ madam,
Thursday 16 august 2018 maine apne bachhe ko silver pearl play school me trial ke liye bheja tha jiska address flat no. G - 101, 106 brave hearts apartments raj nagar extension kotwali sihani gate hai. Kareeb 12:00 pm jab mai apne bachhe ko school se lene ja rahi thi tab school ki owner (Harshi pla) mere bachhe ko lekar aa rahi thi jiski aankh me kafi gambhir chhot thi or usme se khoon nikal raha tha yeh dekh mai ghabra gayi or karan poochhne par unhone kaha 1 bachhe ne nakhoon mar diya hai maine kaha mujhe us bachhe ke parents ka number dijiye to unhone kaha hum bachho ke parents ka number share nahi karte hai uske baad mai ghar aa gayi. Fir mere husband ne jab bachhe ki chhot ko dekha to unhone kaha ye to kisi nukili cheez ka nishan hai. Ispar maine school ki owner ko call kiya to unhone kaha ki aapke bachhe ne pencil lekar khud hi maar li thi. Ye jawab mujhe sahi nahi laga, maine unse agrah kiya mujhe sahi baat bataeye to unhone kaha ki yahi sahi baat hai to unhone kaha ki kal se apne bachhe ko yanha mat bhejna hamare paas itna samay nahi hota ki hun sabko jawab dete rahe. Unki ye baat sunkar maine unhe kaha mai police me complaint karungi tabhi sahi karan aap bataogi. Is baat ko sun kar harshi pal apne pati or school ki 2 teachers ke sath mere ghar aa gayi or haath jodkar mafi mangi or request ki ke aage se kabhi aisa nahi hoga or 2 din baad jab chhot theek ho jae aap apne bachhe ko bhej dena hum uska achhe se khayal rakkhenge. Aaj dinak - 21 august 2018 ko jab mai apne bachhe ko school lekar gayi to unhone mere bachhe ka admission lene se mana kar diya, karan poochhne par unhone mujhse kaha ki hamare school me 70- 80 bachhe padte hain aaye din bachho ko chhot bhi lagti hai agar roz hum unke maa baap ko jawab hi dete rahenge to chal gaya hamara school. Isliye hum aapke bachhe ko le nahi sakte. Maine unse kaha us din to aap bahut bol raha the ki hum aapke bachhe ka dhyan rakkhenge pls aap hame 1 mauka dijiye or aaj aapki statement bilkul hi badal gayi to unhone kaha ki us din baat kuch or thi aaj baat kuch or hai.
Jab humne is school ke baare me pata kiya to pata chala ke school unauthorized hai or school me kabhi bhi koi badi ghatna ghat sakti hai, atah prashasan se mera anurodh hai is school ki janch karke uchit karwai ki jaye. Jisse aane wale samay me bachho ke mata pita ko kisi badi ghatna ka shikar na hona pade.
Was this information helpful?
No (0)
Yes (0)
Ghaziabad Development Authority [GDA] customer support has been notified about the posted complaint.
Complaint comments 

Post your Comment

    I want to submit Complaint Positive Review Neutral Comment
    code
    By clicking Submit you agree to our Terms of Use
    Submit
    Ghaziabad Development Authority [GDA]
    customer care contact
    Customer satisfaction rating Customer satisfaction rating is a complex algorithm that helps our users determine how good a company is at responding and resolving complaints by granting from 1 to 5 stars for each complaint and then ultimately combining them all for an overall score.
    Read more
    12%
    Complaints
    874
    Pending
    0
    Resolved
    104
    Ghaziabad Development Authority [GDA] Phone
    +91 12 0645 0580
    Ghaziabad Development Authority [GDA] Address
    77, Pocket C, Sector 10, Vasundhara, Ghaziabad, Uttar Pradesh, India - 201012
    View all Ghaziabad Development Authority [GDA] contact information