[Resolved]  ESIC — Dispensaries and hospital Working system is very bad

Address:Gautam Buddh Nagar, Uttar Pradesh

Noida me Sec-12 ki dispensary ka kaam karne ka tarika itna ganda hai ki logon ko bahut problemes hoti hai pahle parchi ke liye line lagao to karmchari kahta hai ki khidki no. 25 se kard chek karwao fir waha line lagani padti hai fir wapas aake parchi banti hai uske baad Dr. ke room ke liye line lagao jisme ki kam se kam 1-2 ghante lag jate hai tab jake no. aata hai ab Dr. puchhega ha batao to ham apna muh khole usase pahle Dr. sahab ki kalam chalne lagti hai. aur ham apni puri samsya bata nahi pate ki Dr. sahab kahte hai ye dawaiyan le lena aur wo jin parchiyon pr dawa likhte hai uspe puri ditails nahi bharte jaise ki naam IP no. etc. to usko bhrwane ke liye khidki no. 26 pe line lagani padti hai waha par baithe karmchari lagbhag 50-60 saal ke honge to unhe ek parchi bharne me lagbhag 5 minut to lag hi jate hai uske baat fir dawa lene ke liye line lagao aur dawa ke liye sirf ek hi khidki khuli hui hai ab jab no. ata hai to waha ka karmchari hame dawayen aise deta ahi jaise dawaiyan kude me fek raha hao aur dawa khane ka tarika batana to wo uchit nahi samjhate. aur ek sabase badi problem rahti hai wash room ki aakhir kaha jaye chalo mens to idhar udhar aad me kar bhi lete hai par mahilaon ka kya haal hota hai wahi janti hain. yahi hal laga bhat Sec-24 me sthit Hospital ka bhi hai. in sabke bavjood sabse badi dikkat ye hai ki koi bhi karmchari sidhe muh baat tak nahi karta sirf 1 ya 2 ko chhod ke Dr. bhi kisi marij se dhang se baat nahi karte aisa lagta hai ki wo apni Bi Bi se kiye hue jhagde ka gussa marij se nikalte hain. ab bataden ki sec 24 ke hospital ke ek Dr. sahab hai Garg ji Shayad sabse sinier hai par wo marijon ko aise treat karte hain ki unke pichhwade me kisi ne Rocket laga diya hao 2 - 4 word bolenge bhag lenge. aur sabase badi problem marij ko ya uske pariwar walon ko kabhi nahi batayenge ki marij ko hua kya hai aur kyu. to mera bas yahi kahna hai ki thoda sa in chijon par dhyan diya jay aur working me sudhar laya jaye. Dhanyawad Vivek
Was this information helpful?
No (0)
Yes (0)
Aug 14, 2020
Complaint marked as Resolved 
Complaint comments 

Post your Comment

    I want to submit Complaint Positive Review Neutral Comment
    code
    By clicking Submit you agree to our Terms of Use
    Submit
    Employees' State Insurance Corporation [ESIC]
    customer care contact
    Customer satisfaction rating Customer satisfaction rating is a complex algorithm that helps our users determine how good a company is at responding and resolving complaints by granting from 1 to 5 stars for each complaint and then ultimately combining them all for an overall score.
    Read more
    13%
    Complaints
    721
    Pending
    0
    Resolved
    96
    Employees' State Insurance Corporation [ESIC] Phone
    +91 11 2323 4092
    +91 11 2323 5187
    +91 11 2323 5496
    Employees' State Insurance Corporation [ESIC] Address
    Comrade Inderjeet Gupta (CIG) Marg, New Delhi, Delhi, India - 110002
    View all Employees' State Insurance Corporation [ESIC] contact information