Address: | Bahraich, Uttar Pradesh, 271801` |
Respected sir,
Mera nam sushila devi w./o. Late mr. Ram kumar srivastava hai. Mai family pension prapt kar rahi hoo. Mujhe paiso ki jarurat hone ke karan maine allahabd bank shakha - vikas bhawan me loan ke liye apply kiya tha waha par mujhse pehle kaha gaya ki apka loan ho jaiga. Mujhse kaha gaya ki sare papers submit kara diiye aur loan ka 25% part ka f. D. Laga dijiye. Unke kahne ke anusar maine sare papers aur f. D. Ka ammount de diya tha. But aj jab maine phone kiya to mujhe bank bulaya gaya. Jab mai manager se mili to unhone kaha ki apka loan nahi ho paiga.
Abhi tak wo loan karne ke liye tayyar thay lekin ab kayi karno ko batate hue unhone loan dene se inkar kar diya. Agar loan dene me koi problem thi to pehle kyo nahi bataya gaya, aur mujhe itna kyo bank ke chakkar lagwaya gaya.
Kripya kar is sambandh me sakht karyawahi karne ki kripa kare.
Thank you. Was this information helpful? |