British Academy for English Langauge, jinki web site hai (http://bafel.co.in) ke bare mein main aap ko kuch batana chahta hu. Maine apne bete (9 years old) ki admission Tilak Nagar is institute me March, 2009 mein yeh sochkar kari the ki woh yaha se apni school holiday mein kuch sekhe ga. Admission ke time bahut kuch kaha gaya ki hum yeh course kraege hum yeh karege aur puri 3 mahine ki fees li gaye. Jab mera beta padne ke liye jane laga to use pata chalta tha ki teen mahine mein use course ke doran kam se kam 8-10 teacher chainge hue hai woh bata tha ki har mahine nayi teacher aati hai maine kaha ki koi baat nahi hume to padne se matlab hai per jab usese pata chala ki padai ke naam per kuch nahi hota to bahut bura laga. Ab koi yeh soche ki 1 course mein agar itne teacher change hoge to koi kya padega aur koi kya padaega. Dusri baat admission ke time bataya gaya ki aap ke bete ko sutdy material diya jaye ga, study material ke naam per use keval 1 note book, 1 book aur 1 bage diya gaya tha uske saath course kane wale bacho ko 2 books di gaye jab maine is bare mein kaha to mujhe kaha gaya ki aap ne apni puri fees nahi di hogi jab maine unse full paid fees ki receipt dekhai to unhone agle din mere bete ko 1 book aur di magar very next day usse vapis le li puchne per koi javab nahi mila. Kisi tarha jab course June 2009 mein course complete hua to maine course ka certificate manga to kaha gaya ki Director out-of-station hai next week aap ko call kiya jayega aap aa kare collect kar le. Jab mujhe kai dino tak phone nahi aya to main 30th July, 2009 ko waha gaya aur certificate mangne per mujhe jo kaha gaya to main chok gaya. Mujhse kaha gaya ki aap ke bete ko Test dena hoga jab maine kaha ki yeh baat aap ko pehle batani chaiye thie yah course complete hone per Test lena chaiye tha tab kaha gaya ki yeh circular abhi aya hai. Maine aaj tak aisa koi bhi course nahi dekha jo 1 mahine pehle khatam ho gaya ho aur uska test 1 mahine baat liya jaye woh bhi tab jab aap waha ja kar apne certificate di demand kare hai na chokne wali baat.
Bhupesh Kumar
[protected] Was this information helpful? |