Bank Of Baroda — Online Phishing

Address:Mumbai City, Maharashtra, 400011
Website:www.bankofbaroda.co.in

Dear Sir
Sir I would like to bring a serious issue in your notice. Sir on 7th November 2016 ko meri Maa ko ek person ne [protected] is number se 3:29pm pe call kiya tha aur usne apni pahchaan batayi ki wo Bank of Baroda ka senior Manager hai. Usni Meri Maa ko bataya ki “Aap ka Bank of Baroda me Account hai aur Aapka ATM koi aur person use kar raha hai. Aap Jaldi se mujhe Aapka ATM card Number aur ATM Pin Batao, Agar Aap abhi nahi bataogi to aapke account se sare paise nikal jayenge aur iski jimmedari bank ki nahi hogi, Aap Bank me aake hamko blame mat karna ki bank ne hame bataya nahi.” Meri Maa educated nahi hai sir usne us person ko sari details dar ki wajah se bata di. Aur us person ne Meri Maa aur Pita ji ke (Joint account se) Rs.49160/- Nikal liye. Jab is fraud ki jaankari mujhe mili to maine immediately phone banking me phone karke ATM card block karwa diya. Uske baad maine Local Police Station (Agripada Police Station Mumbai-400011) me complaint ki. Banking hours khatam ho jane ki wajah se 7th November 2016 ki main waha pe complaint nahi kar paya but 8th November 2016 ko maine Bank Of Baroda ke Jacob Circle(Satrasta Mumbai-400011) Branch me jake waha pe bhi complaint ki. Waha pe mujhe bataya gaya ki aapko paise wapas nahi mil sakte hai. Mujhe local police ne bhi bataya ki paise nahi milte hai wapas aise cases me.

Sir Rs.49160 hamare liye bahut badi amount hai. Itne paise jama karne me hame 8 mahine lag gaye. Ye paise ham hamari ghar ki shaadi ke liye istimaal karne wale the. Lekin sir sirf 3 min me hamari mehnat ki kamai jo hamne paise paise karke jama kiye the wo kisi ne 3 min me uda liye. Sir aap hi hamari aakhir ummeed hai agar aap is case me hamari kuch help kar de to bahut meharbani hogi. Sir aapko batana chahata hu ki jis person ne call kiya tha uska number ([protected]) abhi bhi chalu hai aur wo kisi aur ko bhi apna shikaar bana sakta hai. Sir Please meri request hai ki jaldi se jaldi us person ko arrest karwa dijiye, warna koi aur bhi masoom citizen uska shikaar ho jayega. Sir Please bank ko boliye ki hamare paise hame wapas de dijiye. Aapki is help se hamari bahut help ho jayegi. Aap se main aur mera pura parivaar bahut ummeed laga kar baith hai. Sir Please kuch help kijiye. Aap local Police ko instruction dijiye ki iss case ko gambhirata se le. Sir aap sabhi banko ko ye boliye ki wo apne customer ki details ki security achhi tarah se kare. Kyuki kahi na kahi bank ki security week hone ki wajah se customer ki details galat hatho me pahuchi. Bank apne database ki security increase kare. Kahi na kahi bank ki securiy ka issue hai. Database galat hatho me chala gaya hai. sir please kuch help jarur kijiye. Mujhe pata hai aapka ek ek second bahut important hai but sare hamare liye bhi wo paise bahut important hai. Ummed aap hi hai ab. Please help Us.

Thank you so Much
Asif Khan [protected]

Below are the detais of Bank Accounts.

Branch Name: Jacob Circle, Mumbai
Branch Phone:[protected]
Branch Email Id:[protected]@bankofbaroda.com
IFSC: BARB0JACOBC (fifth character is zero)
MICR Code:[protected]
Customer ID:[protected]
Account Number: [protected]
Account Name: ALI AHMED IBRAHIM KHAN
Joint Name: RUKSANA ALI AHMED KHAN
Mobile Number: [protected]
Was this information helpful?
No (0)
Yes (0)
Bank of Baroda customer support has been notified about the posted complaint.
Complaint comments 

Post your Comment

    I want to submit Complaint Positive Review Neutral Comment
    code
    By clicking Submit you agree to our Terms of Use
    Submit
    Bank of Baroda
    customer care contact
    Customer satisfaction rating Customer satisfaction rating is a complex algorithm that helps our users determine how good a company is at responding and resolving complaints by granting from 1 to 5 stars for each complaint and then ultimately combining them all for an overall score.
    Read more
    12%
    Complaints
    4815
    Pending
    0
    Resolved
    583
    Bank of Baroda Address
    Suraj Plaza-1, Sayaji Ganj, Vadodara, Gujarat, India - 390005
    View all Bank of Baroda contact information