[Resolved]  Delhi Transport Corporation [DTC] — Rs.200/- Challan fined to me by DTC employee Sh. Jaipal Singh, AT on 10.04.2021 at Shivaji Park Bus Stand, New Delhi

Address:House No.- 165/1, Railway Colony, Thomson Road, New Delhi-110002

Respected Sir,
Main aaj 10.04.2021 ko lagbhag sham 6.10 - 6.13 baje Desh Bandhu Gupta Bus Stand se Bus Route No. - 951, Bus No. 5308 mein baitha. Main bus conductor ko Rs.20/- diye aur conductor ko kaha ki mujhe ek ticket Kamla Market ka de do, bus conductor ne mujhe Rs.15/- ka bus ticket mujhe diya aur Rs.5/ mujhe waapis kiye. Mujhe yeh nahi pata ki bus conductor ne ticket kahan tak banaya hai, bus ticket par conductor log apna nisaan lagate hai jisse DTC ke ticket checker ko pata chal jaye ki Aadmi or Ladies kahan se Bus mein baitha hai aur kahan par utarega/utaregi lekin aam Aadmi or Ladies ko pata nahi chalta hai ki bus conductor ne uska ticket kahan tak banaya hai.
Main Shivaji Park Bus Stand, New Delhi par jab utara ( Kyunki yahan se mera ghar najdeek hai) tab wahan par DTC ke 5 ticket checker khade the aur ek DTC checking Van mein baitha tha, DTC checking Van ka No. DL 1C AD2681 tha. DTC bus checker ne mujhse bus ticket manga maine ticket checker ko apna ticket diya, ticket checker ne kaha ki apna ticket bus conductor se check karwao bus ticket ne ticket dekha aur kaha ki yeh ticket Rs.15/- ka hai, inhone Rs.15/- ka ticket manga hoga, maine bus conductor ko kaha ki maine tumhe Rs.20/- dekar Kamla Market ka bus ticket manga tha aur tumne mujhe Rs.15/- ka bus ticket diya aur Rs.5/- waapis kiye lekin bus conductor ne jhooth bola ki tumne mujhe Rs.20/- nahi diye the. Maine DTC checking Staff ko bataya ki main bhi ek Central Government ka Employee (Ministry of Railways) hoon, aur saari baat unko batai tatha unhe yeh bhi kaha ki bus conductor jhooth bol raha hai, lekin DTC Checking Staff ne Bus conductor ki baat ko sach maana aur meri baat ko jhooth maana. Bus conductor ki baat ko sach maankar DTC checking Staff Sh. Jaipal Singh, AT ne mera Rs.200/- ka challan kaat diya. Maine Sh. Jaipal Singh, AT ko Rs.200/- diya aur unhone mujhe Rs.200/- ki receipt di.
Atah aapse prathana hai ki Bus Route No.- 951, Bus No. 5308 ke bus conductor aur DTC checking Staff Sh. Jaipal Singh, AT ke upar uchit karyawahi karwane ki kripa karein tatha mujhe Rs.200/- waapis karwane ki bhi kripa karein jo bus conductor ki galti ki wajah se mujhe DTC checking Staff Sh. Jaipal Singh, AT ko fine ke roop mein dena pada.
Ish karya ke liye main aapka sadaiv aabhaari rahoonga.
+1 photos
Was this information helpful?
No (0)
Yes (3)
Apr 10, 2021
Complaint marked as Resolved 
Respected Sir, Main aaj 10.04.2021 ko lagbhag sham 6.10 - 6.13 baje Desh Bandhu Gupta Bus Stand se Bus Route No. - 951, Bus No. 5308 mein baitha. Main bus conductor ko Rs.20/- diye aur conductor ko kaha ki mujhe ek ticket Kamla Market ka de do, bus conductor ne mujhe Rs.15/- ka bus ticket mujhe diya aur Rs.5/ mujhe waapis kiye. Mujhe yeh nahi pata ki bus conductor ne ticket kahan tak banaya hai, bus ticket par conductor log apna nisaan lagate hai jisse DTC ke ticket checker ko pata chal jaye ki Aadmi or Ladies kahan se Bus mein baitha hai aur kahan par utarega/utaregi lekin aam Aadmi or Ladies ko pata nahi chalta hai ki bus conductor ne uska ticket kahan tak banaya hai. Main Shivaji Park Bus Stand, New Delhi par jab utara ( Kyunki yahan se mera ghar najdeek hai) tab wahan par DTC ke 5 ticket checker khade the aur ek DTC checking Van mein baitha tha, DTC checking Van ka No. DL 1C AD2681 tha. DTC bus checker ne mujhse bus ticket manga maine ticket checker ko apna ticket diya, ticket checker ne kaha ki apna ticket bus conductor se check karwao bus ticket ne ticket dekha aur kaha ki yeh ticket Rs.15/- ka hai, inhone Rs.15/- ka ticket manga hoga, maine bus conductor ko kaha ki maine tumhe Rs.20/- dekar Kamla Market ka bus ticket manga tha aur tumne mujhe Rs.15/- ka bus ticket diya aur Rs.5/- waapis kiye lekin bus conductor ne jhooth bola ki tumne mujhe Rs.20/- nahi diye the. Maine DTC checking Staff ko bataya ki main bhi ek Central Government ka Employee (Ministry of Railways) hoon, aur saari baat unko batai tatha unhe yeh bhi kaha ki bus conductor jhooth bol raha hai, lekin DTC Checking Staff ne Bus conductor ki baat ko sach maana aur meri baat ko jhooth maana. Bus conductor ki baat ko sach maankar DTC checking Staff Sh. Jaipal Singh, AT ne mera Rs.200/- ka challan kaat diya. Maine Sh. Jaipal Singh, AT ko Rs.200/- diya aur unhone mujhe Rs.200/- ki receipt di. Atah aapse prathana hai ki Bus Route No.- 951, Bus No. 5308 ke bus conductor aur DTC checking Staff Sh. Jaipal Singh, AT ke upar uchit karyawahi karwane ki kripa karein tatha mujhe Rs.200/- waapis karwane ki bhi kripa karein jo bus conductor ki galti ki wajah se mujhe DTC checking Staff Sh. Jaipal Singh, AT ko fine ke roop mein dena pada. Ish karya ke liye main aapka sadaiv aabhaari rahoonga. (Deepak Kumar) Email ID- [email protected] Mobile No. 8860623166
Complaint comments 

Post your Comment

    I want to submit Complaint Positive Review Neutral Comment
    code
    By clicking Submit you agree to our Terms of Use
    Submit
    Delhi Transport Corporation [DTC]
    customer care contact
    Customer satisfaction rating Customer satisfaction rating is a complex algorithm that helps our users determine how good a company is at responding and resolving complaints by granting from 1 to 5 stars for each complaint and then ultimately combining them all for an overall score.
    Read more
    12%
    Complaints
    1965
    Pending
    0
    Resolved
    242
    Delhi Transport Corporation [DTC] Phone
    +91 90 3912 9100
    Delhi Transport Corporation [DTC] Address
    Sector 8 Dwarka, New Delhi, Delhi, India
    View all Delhi Transport Corporation [DTC] contact information