Sewa me,
Shree man...
Hamaare gram ka naam arai, post - katra, tahseel - gyanpur, thana-koirauna, jeela - sant ravidas nagar bhadohi-221309 hai.
Sir, aapse nivedan hai ki hamaare gram ke gram pradhan ne abhi tk koi bhi kaam nhi kiya hai, khaali kuch gine chune vyaktiyo joki kafi sampann hai, unhe usaki jarurat nhi h, unke kaam karwa karke baaki sb paisa gaban kr gya. Aur jisako uski sakht jarurat hai unka kuch kaam nhikarwa rha hai.
Sauchalay, hand pump, naali nirman, road, sokhta, sb byawasthao ka to gram m naam hi nhi hai, aur jo banwaya bhi hai wo kewal naam matra ka, gram m baarish ke paani nikas ki byawastha nhi hai naali nhi hai, aur bhi aisi kai byawasthaye hai jo gram se achhute hai...
Sir, aapse vinamra nivedan hai ki aap us gram pradhan ke khilaaf jald se jald janch karwaye, jisase ki sarkari byawasthaye jo shi hakdaar hai unko mil ske, aur gram ka kuch vikas ho ske...
Thank you...
Gram-arai, post-katra,
Thana-koirauna,
Jila-sant ravidas nagar bhadohi
Pin no. 221309
My name is Ysbabu colony President
[protected]