[Resolved]  Safdarjung Hospital Labour Room — Abhadra vyavahar of a doctor in labour room

Mera naam manoj hai or main dakshin puri main rehta hoon meri shikayat yeh hai ki[protected] ko meri wife ko shaam 5 baje ke karib labour pain hua jiske karan usko safdarjung hospital le jaaya gaya wahan pahunchte hi wahan labour room ke staff ne blood ki demand ki toh gharwalon ne keh diya ki blood mil jayega but pehle mariz ka check up toh kar lo toh phir meri wife ko unki team ander lekar gayi wahan jo pehle se ek lady doctor thi unhone meri wife se gusse se bola ke tu toh abhi aayi thi phir dobara aa gayi? Meri wife ne kaha nahi main toh abhi abhi aayi hoon toh doctor ne ginti ke 7-8 thappad maar diye or gaali dekar boli ke jhoot bolti hai.phir meri wife ko checkup karke bahar bhej diya or kaha ki yeh abhi labour pain nahi hai.or meri wife ka kehna hai ki wahan koi bhi mariz aaye usko blood dena hi hoga.or jab aisa hai toh woh blood kahan jata hai aur wahan ki hakikat yeh hai ki blood aapko dena hi hai warna mariz ko le jaao toh aisa hai ki plz meri help karo.or batao main kya karoon main agr unki complaint karta hoon toh meri wife ka case bhi wahi doctors handle karenge kahin yaar woh mujhse badla na le.........yaar mujhe batao main kya karoo?or ho sake toh plz kabhi safdarjung hospital mat jaana........wahan ke kuchh doctor toh thik hai agar aap kisi aise ke palle pad gaye toh gaye yeh khoon bechte hain...maine inke ek senior doctor ko call kiya jinka number hai [protected] yeh woh insaan hain jinhe logo ki shikayat ki wajah se baithaya hua hai yeh kehte hain ki aap kahin or baat karo ab batao kya karna chahiye ....inka naam hai,....Dr.sudhir chandra....help me plz....my i.d is.....[protected]@yahoo.com
Was this information helpful?
No (1)
Yes (2)
Aug 14, 2020
Complaint marked as Resolved 
Complaint comments 

Comments

today morning i went to safadarjung hospital with my wife for delivery and doctor has recommended for admit by today but when we went in ward no. 3 for admission, where behaviors is very rude & clearly said here is no bed vacant for new admission so wait outside of labour room & share bed with any patient . my wife's condition was not good so that she can share bed & 2nd thing no any patient is agree to share bed with other patient. my wife blood group -ve so other hospital is not agree to admit there. in this situation we are helpless and went back home...i could not understand that what is doing Mr. kejriwal for health sector where Delhi best hospital is going in hell condition day by day due to lack of facility...Our C.M is making fool to all people which is very bad for indian people..
regarding safder jung hospital complaint its not a new ki wahan ka staff itna batamij h ki inhe kise k dard or pareshani s koi wasta nahi yaha tak ki yaha ka staff doctors or nurses dono hi mufat ki salary lete h inhe ye nahi pata jo tax hamari aam logo ki salary s katata h usi s inhe tankha milti a or inki jiwika chalti h inke bacche roti khate h acche kapde pehanpate h school ki fees jati h matlab inki jarurate hamere hi paise s puri hote h or y us hi pt. ki parwaha nahi krte y kehna galat hoa ki ward bade hote h or staff kam. y kaam b utni hi laparwahi s karte h even galat shabd b bolte h m b apollo hospital m staff nurse hu hame b work load ko idea h par work load keh kar kisi garib or pareshan insaan ki majburi ka fayeda to nhi uthana chiye . ye incident mere saat 5/2/2011 ko ward no-12 m night time m hua night staff k saat. waha meri bahut hi close relative admit the due to brail haemorrhage & dr. n kaha urobag le aao catheter dalna m koi or attender na hone ki wajah s m meri mummi ko ander chad k urobag le aaye pehle to gaurd n hamere ander aane jaane m natak kiya ab bhala m itne serious pt ko unconsious condition m akele kaise chad skti the phir urobag lane k baad 3-4 ghante ho gaye m sister or dr. dono ko bta chuki the. kisi n nahi dala wo continue urine pass kar rhi the sardiyo ki raat m ek to thant dusri taraf brail haemorrhage thi or infection k chance b jada the wo puri urine m wet phi maine lagbhag 4 ghante bad ek sister ko kaha sis please ab to cath daal do bahut der ho gaih to wo mughse s ladne lagi kehti h ham kya khali najar aate h busy h maine kaha sis m pehle b bol k gai thi par abhi tak kisi n nahi dala please daal do to ladne lagi chilake kehti h najar nhi aata andhi ham kaam kar rahe h khali nahi h to mughe b thoda gussa aa gya maine kaha ha najar aata h kaha busy ho dr. k saat gossip karne m or ph. p baat krne m itne m wo moti nurse n gaurd ko kahti h is dustaatma ko bahar nikalo or mughe kehati h nahi daalte aapna pt. b yaha s le ja waise b usse marna hi h in sab staaf ko shayad govt. job milne k baad y bhul jaate h ki training time m inhe kya shath de jaati h or kya shapath ka k ye apne training start krte h waise b mughe lagta h ye complaint to matr man ki tasalli k liye kar rhi hu hona in par kuch b action nahi h. inke HOD/ND all are same.
mera naam hridayram hai, mere wife ko maine Friday[protected], 9:00 Am ko safdarjung hospital main 6 no Ward main admite karwaya tha jiska naam sulekha hai mere wife pragnant hai or kafi kamjor bhi hai,[protected] ko 4:00 Pm mujhe sister ne duty room main bulaya or kaha ab tum ja sakte hao maine ye medicine likh kar de hai ye monday ko bina parchi ke app opd sai le jana, main kisi karan bass monday ko nahin ja saka to main friday[protected] ko 10:00 Am par pahucha main opd medicine dipartment main pahucha to wahan line lage hui thi main kafe der tak line main laga raha jab mera number aya to unhone kaha hai eske date nikal gaye hai dobara likhwa kar lao main 6 no ward main gaya or sister sai kaha ki mujhe opd main medicine dene say mana kar rahe hai unhone kaha hai ki eske date nikal gaye hai dobara say likhwa kar lekar aao, sister ne kahan ki tum opd main room no 164 sai parchi banwa kar dawa le lo main wahan whi gaya wahan mujhe gate par hi rok liya or kaha niche sai currunt date ka parcha banwa kar lekar ao, main niche gaya or line main laga 12 ghante main number aya or main ne apne wife k name say parcha banwa liya main phir 164 main gaya or maine lady doctor ko wo dono parche dikha kar us lady doctor ne kaha ye medicine 6 no ward say hi milti hain main phir 6 no ward main gaya or sister say kaha sister ne akhir main mujse kaha ki aap ye medicine bahar sai le lo end main akar mujhe bahut gussa aya kyun ki jo bhi peresan person ata hoga who bhi eshi tarha paresan kiya jata hoga agar medicine dene nahin thi to likhi kyun gaye mere 100rs kiraya kharch hua or medicine bhi nahin mile mere muh sai kabi bhi esay logo k liye kabhi bhi achey sabd nahin niklege kass koi mere sun sakta lekin kisi ne nahin suni main bahut paresan tha lekin kisi ko bhi rehem nahin aya bagwan kisi ko is tarah paresan na kare mere logo se ye kahuga ki ap kabhi bhi is taraha paresan na hon
सफदरजंग हॉस्पिटल में जिन्दगी में दुबारा कभी नही जाऊंगा
में हरदेश कुमार
इन लोगों ने मेरा बच्चा मेरी waife के पेट में ही मार दिया
5am bataya बच्चे ने पेट मे letring करदी है
Opration होगा opration करा नही मिलने तक नही दिया 12pm बोलतेहें बच्चा खत्म होगया पेट मेही
ये किसी से बात भी नही करते👎
सफदरजंग हॉस्पिटल ने हत्या की है
मेरेबच्चे की..इन्होने समशान घाट बना रखा है हॉस्पिटल नही रहने दिया.
Name izaans/O zamil rehman
Date 8/6/19
Time 3.10am
The docter is very lassy not proper work
Is the very bad serwive by patient.
So plzz fast work.
Mere bete ki sity scan 10.30 per kiya hai report abhi tak nhi de rhe hai. Docter log Laparwahi kar rhe hai. Thank u
From jameel

Post your Comment

    I want to submit Complaint Positive Review Neutral Comment
    code
    By clicking Submit you agree to our Terms of Use
    Submit
    VMMC & Safdarjang Hospital
    customer care contact
    Customer satisfaction rating Customer satisfaction rating is a complex algorithm that helps our users determine how good a company is at responding and resolving complaints by granting from 1 to 5 stars for each complaint and then ultimately combining them all for an overall score.
    Read more
    6%
    Complaints
    130
    Pending
    0
    Resolved
    8
    VMMC & Safdarjang Hospital Phone
    +91 11 2616 5060
    +91 11 2616 5032
    +91 11 2616 8336
    VMMC & Safdarjang Hospital Address
    1 Safdarjang Enclave, New Delhi, Delhi, India - 110029
    View all VMMC & Safdarjang Hospital contact information