Upbhokta Suvidha Kendra — bank manager for state bank of india rewa city branch.

Address:Rewa, Madhya Pradesh, 486001
Website:cm helpline and rewa collecter

Respected,
Sabhi group members..
Mai amit kumar soni.. Jo ki business ke liye mukhya mantri swarojgar yojna ke antargat 10 lakh ke loan ke liye rewa (M. P.) state bank of india rewa city branch me january 2017 me apply kiya tha. Par bank ke dwara mujhe kuch na kuch bol kar taal diya jata tha. Par maine sabhi tyari start kar di thi apne business ko leke. Fir jab mai haar kar collector me application diya tab ja kar bank dwara mujhse document mange gay. Or kaha gaya ki mai baki ki tyari karu loan 10- 15 din me ho jayega. Or jab maine apne kaam ke liye...
1. Mahindra jeeto loading (Jiske liye maine 1, 16000 dp or pichle 3 mahine se 45, 000 emi de chuka hu.)
2. Shop (Jiska 3 mahine se rent 12, 000 de chuka hu.)
3. Shop ragistration..
4. Gst ragistration and fssai ragistration sabhi tyari kar li or bank me sabhi document submit kar diye the aaj se kuch din pahle.
Lekin jis din maine document submit kiye uske kuch din bad jab mai bank gaya to bank ke manager ne kaha ki kuch din me loan ho jayega. Fir jab mai abhi 07/10/2017 saturday ko bank me loan ke liye gaya to bank ke manager alok verma ne loan dene ke liye loan ke amount me 10% ki maang ki or jab maine mana kar diya to baat bad gai. Or baat jada bad jane ke karan bank ke manager ne nearest police station me mere naam ka ek application ye bol kar diya ki maine bank ke govt. Kaam me dakhal di hai. Jab mujhe is baat ka pata chala to mai police station pahucha or waha ke t. I. Mr. Arun soni ji ko sach batane ki bahut kosis k. Ki kaise wo bank manager mujhe pichle 9 mahine se mansik rup se pareshan kar raha hai. Par police station me meri kisi ne na suni or ulta mujhe hi gali dekar waha se ye bol kar wapas bhej diya ki mai bank me ja kar manger se mafi mangu or letter me likha kar police ke samne pesh karu. Police ne ye to dekha ki maine saturday ko bank me kis tarah bank ke manger se pesh aya par unhone ye nahi dekha ki pichle 9 mahine se mai jab har char din me bak jata tha to mai bank manager se bahut ki acchi tarah se pesh ata tha. Lekin police ne mujhe wahi baitha liya or ek gunda bol kar baitha police station me or jab mere ghar walo ke waha par baat karne par abhi mai ghar pahucha.πŸ™πŸ™

Kripa karke mujhe ye bataye ki mai galat kaha hu.
1. Bank ki najar me maine bank ke manger ko riswat dene se mana kiya.
2. Ya dusra riswat na dene ke liye hui bahas ke karan jab mai police ko batane gaya ki sach kya hai jisse ulta mujhe hi police ne station me baitha liya.
3. Ya ki maine bank ke bolne ke karan. Gadi me lagbhag 2lakh, shop me 12k se 15k, or 2 lack ki fd security bank me karwai.
Maine har tarah se bank ki har jarurat puri ki jo lagta hai.
Par bank ko paisha na dene ke karan aaj mujhe etni badi bezzati ka samna karna pada or jo mera time or paisa kharab hua wo alag.
Is samasya ke liye jab mai aaj har gaya to aaj mai ye puri ghatna aap sabhi ko suchit kar raha hu. Kripa karke kuch samdhan kare meri samsya ka.
Is ghatna se judi baki paper mai aap logo ko send kar raha hu.πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™πŸ™ kripa kare..
Prarthi
Amit kumar soni
[protected]β€’β€’β€’

Mai pichle 9 mahine se pareshan hu or bank ke dwara mujhe mansik rup se pareshan kiya gaya. Aaj maine police station me raha sirf is liye ki maine satya ka rasta apnaya. Or bank ke manager ko riswat nahi di.
Or aaj ek police men ne mujhe is liye thane me rakkha kyuki us police wale ko 07/10/2017 ko hui bank ke bahas ke cctv footej dikhai gai baki pichle 9 mahine ki footej kyu nahi dikhai gai jisme maine bank me har bar acche behave kiya hai. Means koi bhi govt. Adhikari chahe wo koi bhi ho wo kisi ke future se khel sakta hai par agar ek din maine usse hui galti (Riswat magne) ke liye bahas ki kya kari hume police gunda or us bank ke manger ko ek accha admi kaha.
Police ne kaha ki mai us bank manger se mafi mangu or likhit me lu tabhi mujhe police maaf karegi nahi to mujh par gunde ki dhara laga kar mukadma karegi. Mai galat ka sath nahi de sakta jis karan mai bank ke manger se mafi kaise jisne mujhse hi riswat mangi ho or aaj maine jab sahi ka sath diya to mai galat ban gaya.πŸ™πŸ™πŸ™
Police ke dwara mujhe kaha gaya ki agar bank apko loan nahi de raha tha to agar jada hi mansik pareshani ho mujhe to mar jao kahi ja kar.
Ek police dwara mujhe ye kaha gaya.
Or mere sath sath meri family ko bhi bahut gandi gandi gali di gai.
Or bahut kuch kaha gay jo mai bata bhi nahi sakta apko.πŸ™πŸ™
Prarthi
Amit kumar soniπŸ™πŸ™
Kripa karke meri madad kare.
Kyuki ab mai haar chuka hu.
Or mujhe sirf or sirf ap par hi bharosha hai.
Mai mansik rup se bahut pareshan hu. Kripa kare.
πŸ™πŸ™
Agar hum aaj ke ΰ€―ΰ₯ΰ€΅ΰ€Ύ kuch karna chahte hai to aise bank manager ke karan jo ki humare future se khel kar hume pareshan karte hai aap log hi bataye hum kya kare.πŸ™πŸ™πŸ™
+6 photos
Was this information helpful?
No (0)
Yes (0)
Complaint comments 

Post your Comment

    I want to submit Complaint Positive Review Neutral Comment
    code
    By clicking Submit you agree to our Terms of Use
    Submit

    Contact Information

    Rewa
    Madhya Pradesh
    India
    File a Complaint