Quicker Job — quikr cheated me and took my money

Website:quikr jobs

Maine quikr site me 24/7/2019 main Tata Motors ke Computer Operator/Data Entry Operator ke liye apply kiya tha, fir unhone mujhe agle din 25/7/2019 ke 2.00PM ko mere mobile no ([protected]) main call kiya (mobile No-[protected] Name - Neha) aur fir documents yani ki meri certificates sab mange au mujhe (Mail ID- [protected]@gmail) ko msg ki through diya aur bole ki jaldi se jaldi bhej dijiye to maine evening ko sab document bhej dia aur agle diin ek new mobile no ( Name Rohan Sharma, mob. no. - [protected]) se call aaya au unhone mera telephonic interview liya aur bole ki tum pas hogaye ho. fir thodider bad Neha mam ne call kiya aur bole ki 1550 rupay ki payment karo aur unka Account no msg kiya (Name - Sumra Gouravkumar, acc No.[protected], IFSC Code - PYTM0123456) to maine Rs. 1550 payment kar diya uske baad fir thodi der baad ek tisra mobile no se call aaya (mob no. - [protected]) aur fir unhone bola ki tumhara job ab Tata motors main nahin balki HDFC bank main hoga aur mujhe document verification ke liye Rs.6500 ka payment karne ko kaha to maine document verification ke liye payment kardiya Rs. 6500 ka fir unhone mujhe ek HDFC Bank ka offer letter diya(screen short attached) aur bole ki tumhe ek aur payment Rs.17000 ka karna padega to maine kardiya Rs.17000 rupaye ka aur unhone kaha ki tumhare pass mera whats app no hai to maine nahin bola to unhone aapna Whatsapp no ( [protected]) diya aur bole ki Rs.17000 ka jo payment kiya hai uska ek screen short bhejo to maine bhej diya fir thodi der bad unhone call kiya aur bole ki ek akhri payment Rs.28000 ka karna padega jo ki company ne aap ko aap ka ek Life insurance (mail main bheje the screen short attached) kaene ke liye au ek credit card jo ki (rs.5.00 lakh) ka credit limit hai uskeliye to maine mana kar diya to unhone mujhe dhamki diya aur bole ki company ne jo aap ke liye yea policy kharid liya hai to tumhe abhi Rs.28000 ka payment karna padega nahin to main tumhe court main dekhlunga wahan tum Rs.2.5 lakh ka jurmana doge to maine unnse request ki mera paisa mujhe lotado to unho ne mujhe ek link send kiya ( http://quikrjob.info/) aur kaha ki tuhe isme ek requst do ki mera profil ko cancel karne ko to maine jaise hi wo link khola to wahan registration karne ko kaha to unhone kaha ki kardo registration fir wahan pe tumhe cancell ka option aayega to jaise hi maine registration karne ko gaya to waha pa mujhe payment option main credit / debit card ka option aaya to maine pucha ki ye khun to unhone kaha ki aap ko sirf ek Rs.49 transaction karna padega to maine jaise hi waha tak gaya to mere mobile pe ek otp aaya jise ki amount rs.9999 ka tha to maine mana kardiya transanction ke liya to fir unhone mujhe thretening di ki kaha ab tumhare khilaf main legal case karunga au phone katdia. plese sir mujhe mera paisa wapas diladijiye. ab kaise main aapna paisa refund paunga sir please help me. inhone to mujhe pure Rs.25000 legeye ab kese main mera paisa refund paun please help me sir, mujhe mera paisa wapas cahiye.
+15 photos
Was this information helpful?
No (0)
Yes (0)
Complaint comments 

Post your Comment

    I want to submit Complaint Positive Review Neutral Comment
    code
    By clicking Submit you agree to our Terms of Use
    Submit

    Contact Information

    India
    File a Complaint