| Address: Ali Nagar Sunehra,post-amausi,lucknow., pin -226008, |
Mananiya mahodaya,
vinamra nivedan hai ki mera gaon (ali nagar sunehra, post- amausi, lucknow, 226008) ko nagar nigam mein samil hue lagbhag 35 saal ho gye hain, parantu mere gaon mein aaj tak na to kabhi koi sadak bani hai aur na hi kisi bhi prakar ki naali ka nirman hi hua hai, jis karan prathi tatha samast gaonwasiyon ko aaye din tamaam kathinayion ka samana krna pad rha hai, vishesh roop se barsaat ke mausam mein raaston mein bade bade gadhe ho jaate hain tatha nali na hone k karan gharon aur barsat ka paani raste me hi bhar jaata hai, jis karan prathi aur uske gaonwasiyon ka gaon ke bahar nikalna doobhar ho jata hai, khaskar ke vradhjan, bimar vayaktiyon wa school / college jaane wale baccho ko.Mahodaya kai bar bimar logo va garbhvati mahilaon ko hospital le jaate samay wahan aadi isme fas jaste hain athwa palat jaate hain jisse unki sthiti aur bhi dayneey ho jaati hai, isi prakar ki dikkate students ko bhi hoti hain. Mahodaya yah bhi avagat karana h ki mere gaon se airport 3 km, metro station 3 km aur charbagh railway station lagbhag 7 km hai parantu is sabke bavjud bhi mere gaon ki sthiti bahut hi dayneey hai.
Lucknow Nagar Nigam customer support has been notified about the posted complaint.